Broken Trust
Main aaj bahut khush hun aaj 4 saal ke baad main apne ghar ja raha hun, Saudi Arab me kaam karne waale Imraan ne apne ek dost se kaha, bhai shaam me meri flight hai main India pahunch kar tumhe call karunga, dost ne bhi khushi khushi apne dost ko alwida kaha.
![]() |
BROKEN TRUST |
Imraan bahut khush tha ghar jane ke liye usne bahut sari shopping ki thi, sab log ke liye achche achche gifts liye maa bahan biwi beti sab ke liye, agle din Imraan apne ghar pahunch gaya khushi se uski aankho me aansoo aa gaye jab 4 saal ke baad maa ko dekha, bhaijan aap aa gaye keh kar bahan bhi bhai se lipat gai. Sab log bahut khush the magar Imraan ne mehsus kiya ki uski biwi uske aane se khush nahi hai, Imraan ki nazar apni beti ko dhund rahi thi kyu ki aaj pehli baar wo apni beti se milne waala tha, usne sirf Skype me hi beti ko bada hote dekha tha kyu ki jab wo 4 saal pehle Saudi job ke liye gaya tab uski biwi pregnant thi. Imraan ne biwi se pucha meri pyaari gudiya kaha hai meri beti kaha hai, biwi ne jawab diye wo us wale kamre me apni doll se khel rahi hai.
Imraan bhagta hua beti ke paas gaya use apni godi me utha liya bahut pyaar karne laga, pehli baar beti ko apne saamne dekh kar aansoo rukne ka naam nahi le rahe the.
Achanak gudiya ne kaha uncle mujhe niche utaaro ye sun kar Imraan hairaani ke sath bolne laga, beta main aap ka papa hun uncle nahi, usi waqt Imraan ka bachpan ka dost Aarif jo uske pados me hi rehta tha ghar aaya use dekhte hi papa papa keh kar gudiya uske paas chali gai or usne bhi pyaar se gudiya ko gale laga liya, Imraan ne dekha ki Aarif ke aate hi uski biwi ke chehre me bhi khushi aa gai, ye sab dekh bechara Imraan man hi man me bahut dukhi hua.
Ek hafta aise hi guzar gaya Imraan bahut pareshaan rehne laga uski beti or biwi usse kate kate rehti thi aur Aarif ke aate hi dono bahut khush ho jaati thi. Ek din Imraan ne apni biwi se pucha aakhir kya baat hai ye sab kya chal raha gudiya mujhe pehchaanti hi nahi Aarif ko papa kehti hai mujhe bahut bura lata hai tum bhi mujhe se dur rehti ho kya baat hai batao mujhe.
Ye sab sun kar Imraan chillaa kar apni biwi se kehne laga ye tum kya keh rahi ho tumhe sharam nahi aati, biwi ne kaha main majboor hun main ab aapke sath nahi reh sakti mere dil me ab aapke liye koi jagah nahi hai. Aarif bhi yahi chahte hai ki aap mujhe talaq de de taaki hum dono shaadi kr sake,
Imraan gusse me Aarif ke ghar ja pahuncha usko maarne laga or kaha tum kaise insaan ho main ne tumhe apne ghar ka rakhwaala banaya or tumne mere hi ghar me daka daal diya.
Aarif ne kaha main ne koi daka nahi daala tum khud hi apna ghar mere hawaale kar ke chale gaye the, tum khud ko dekho tum kaise insaan ho tumhaari biwi har din tumhara intezaar karti rahi par tum nahi aaye, ek nai naweli dulhan ke dil me hazaaron khwahish hoti hai, tumhe apni biwi ki koi parwah nahi thi bas paise kamane me lage rahe, yaha tak ki apni beti ki paidaish me bhi nahi aaye. Har roz main tumhare kehne ki wajah se tumhare ghar jata tha tumhare ghar waalon ka khayal rakhta tha, yunhi waqt guzarta gaya or hamaare dilon me ek dusre ke liye mohabbat jaag gai, tumhaari beti ke nazar me bhi main hi uska papa hun.
Ab baat ko aage mat badhao tum apni biwi ko talaq de do is maamle ko ek khubsurat mod de do, jo khushi tumne apni biwi or beti ko kabhi nahi di wo main ne unhe diya hai, unse unki khushi mat chino tum waapis chale jao mujhe tumhari biwi or beti se bahut mohabbat hai aur unhe bhi mujhse mohabbat hai. Aarif ki baaten hathoda ban kar Imraan ke upar baras rahi thi, wo kuch bhi na keh saka or apne maa ke paas ja kar rone laga, maa ye sab kya ho gaya tumne mujhe kyu ni bataya main aap sab ke liye din raat mehnat kar ke paisa kamata raha ki bahan ki shaadi karni hai, maa ke liye achcha ghar banwana hai, meri zindagi barbaad ho gai maa keh kar wo rone laga or rote rote ek hichki si aai or Imraan ki jaan chali gai.
Is Inspirational story me kiski galti thi..?
Maa ki jo sab kuch jaante hue bhi apne bete ko wapis nahi bula rahi thi kyu ki use beti ki shaadi ke liye paise chahiye the.,?
Biwi ki jo shohar ka intezaar karte karte thak gai thi or fir uske dil me kisi aur ki mohabbat jaag gai,?
Dost ki jo apna farz pura kar raha tha par dil se majboor ho kar dost ki hi biwi se mohabbat kar baitha?
Ya Imraan ki jo biwi ke baar baar bulaane ke baad bhi paise kamaane ki wajah se ghar wapis nahi aaya?
"THE SADEST THING ABOUT BETRAYL IS THAT ITS NEVER COME FROM ENEMY"
11 Comments
Great work
ReplyDeleteGALTI SIRF AUR SIRF ARIF KI THI ..MERE HISAB SE .KYUKI ALL PPL HAVE RESONS FOR THEIR BEHAVIOUR .ARIF COULD HAVE CONTROL ON HIS MIND ..CO SIDERING ALL PROBLEMS AND THE SITUATION.
ReplyDeleteNICE STORY
THANKS
WWW.VIRALKICHARCHA.COM
🤩🤩🤩🤩
ReplyDeleteNice👍🏻
ReplyDeleteI also love my Indian culture n food
ReplyDeleteGhar ka bhedi lanka dhaye
ReplyDeleteNice
ReplyDeleteBetrayal never comes from our enemies itz true
ReplyDeleteCorrect
ReplyDeleteGood
ReplyDeleteGood message 👍🏻👍🏻
ReplyDeletePlz do not put any negative comment.